Friday, July 27, 2012

 

Transcript of Narendra Modi Nayi Duniya interview

Gujarat riot coverage is considered the holy grail of journalism, in fact that's all they do. Unfortunately, the quality of coverage belies the importance the media assigns this tumultuous incident of Indian History. Narendra Modi sat down with the editor of an Urdu Weekly, Nai Duniya, Shahid Siddiqui,  a former Rajya Sabha MP from the Samajwadi Party, for a long discussion. New York Times' India Ink webzine made a travesty of transcribing the piece - omitting key passages, obliterating the impact and  thus sidestepping the truth.  We crowd sourced the effort and with help from Suresh Nakhua and Jaymin Panchal, present the full unedited transliterated version. An English translation will follow. Please note that this is only a portion of the interview, the audio of which is available here. A transcription (in Devnagri script) of the full interview is available here. [pdf]


Q. Narendra bhai, yeh jo dango ke taraf hum aye, yeh jo dango ka dauran hua isko lekar bahot bibad hai, bahut batein hain, aaj bhi chal rahe hai, pichle bees saal se saare bhi baat chal rahe hain. So, isme ek to main yeh kahunga ki godhra mein jo hua incident aur jo train ke andar log jale, uske baad unke jo shab hai unko laya gaya ahmedabad mein aur yeh faisla aapne kyon kiya kaise kiya aur aapne iske ... repurcussions aapo ka andaza .. to samjhte ... aapko andaza nahin tha ki iske repuscussions baut jyada ho sakte hain? 

Iss vishay ko bade bishtaar se maine SIT ko bhi jawab diya hai ... supreme court ko bhi diya hai ... bade bistaar se. Aur iske aadhar pe supreme court ne aapna report bhi de diya hai .. woh report jab aayega tab .. aayega (laugh). 

Ji.

Koi bhi shab hoga, use dena to padega wapis us parivar ko?  Dena padega ya nahin dena padega?

Ji.

Dena padega. Jahan par sabse jyada tanav hai .. wahan par koi dead body le ja sakta hai kya? [man lijiye]  mehsana[?] tak kisika dead body hai woh godhra liya jayega kya? aur aise saab log Godhra jayenge to mahaul theek rahega kya?  Tanav to Godhra mein tha .. ghatna to Godhra mein ghati thi. Doosra. Yeh train kahan jaa rahi thi? Yeh train Ahmedabad ja rahi thi. Yeh saare jo passengers the, yeh ahmedabad ke the. Iska matlab ki woh Ahmedabad ya Ahmedabad North mein hi unke body jane the. [Isko to wahan body jaana nahin tha.] To aapko body unke parivar tak pahunchane ka tarika kya? Tarika simple tarika kya? 

Aspataal mein khamoshi se lake unko ... handover .. jaise ki hota hai dange mein hota hai .. 

Theek hai? Theek hai?

Ji.

Achcha aisa hua hai to theek hai nai?

Ji.

Accha To aisa hi hua jaise aap bol rahe hain.

Yahan unko ..

Wahi, wahi .. sacchai sun lijiye.

Ji.

Aapko jo so called jhoot ke ...chali hai... uske aadhar pe bol rahe hain. Sacchai yeh hai

Kya ghumaya nahin gaya ...

Wohi to, yeh sun lijiye bada interesting hai. Aur yeh aaj nahin hai, aap us samay ke India Today ko bhi nikal kar ke dekh sakte ho. Naturally Godhra railway station se body ... accha, itne body rakhne ki Godhra mein koi jagah bhi nahi ho sakti .. yeh out of manage it's an administrative decision .. hota na? Ab doosri bat yeh hai ki body saare maalik iske North GUjarat ke the to body wahin bheja jata Yeh to pakka tha ki aapko shift to karna hi padega. Ab, individual shift karo ki lot mein shift karo .. shift ke bina chara nahin tha.
Doosra din mein karo ki raat mein karo. Administration ko laga .. ki andar hi andar isko .. [raat mein .. karo] .. tanav na ho. To, kuch shanti rakhne ki irade se kiya gaya yeh kam ... doosra tha, civil hospital le aye. Ahmedabad ke civil hospital me agar late ho to conjested hai .. wahan phir tanav paida hoga. Yeh buddhimaani thi sarkar ki usne ... outskirts mein, Shola[?] main, civil hospital hai aur uss samay mein woh totally outskirts tha .. 2001 mein woh develop nahin hua tha ... yani viraan ilake mein [...] woh saare dead body shola ..

Shola mein gaye. 

Shola mein civil aspatal laya gaya. jo ki bilkul hi jangalo mein ek aspatal jisko kahe .. woh tha. Woh Jaffar[?] ko pura malum hai ki  uss samay Shola[?] kya tha .. aaj to khair wahan jivan banne laga hai aur doosra ... wahan se koi joolus nahin nikla hai .. chup chap un parivaron ko dead body de diya gaya saath mein police de di gayi .. ek bhi procession nahin nikla... for your information .. not a single. Itna hi nahin, terah ya chaudah body aise then jine identification [...] jo identify nahin hue the. To uss ka bhi Shola[?] aspatal 
ke peeche chup chap [...] dah sanskar[?] kiya gaya. Itni clear ki gayi hai, lekin ab jhoot chal pada hai.

Accha uske bad dange Gujarat mein jo bhadak uthe aur Ahmedabad mein bade paimane pe hue, to aapko information to mil gayi hogi ki yeh sab ho raha hai aag lag rahi hai aur yeh sab maare ja rahe hain .. to usko rokne ke liye yeh aapne kya thos kadam uthaye?

Dekhiye. Kya kya kadam ho sakta hai. Ek to police ka bal prayog ho sakta hai. Kanoonan curfew lagta hai. Yeh sab hota hai. Appeal hoti hai. Meri sabse pehle appeal Godhra se hi hai, sham ko hi. Ki kanoon kanoon ka kaam karega ... gunhegaron ko sajah milegi .. aur hum saab shanti rakhe wagarah wagahrah [..] radio .. TV par yes sab footage available hai. Sab kuch available hai. Wahin par, ussi din shamko [bola main].. doosri din hum log [...] laye wagairah . 27 Feb ko ghatana hua, raat ko hi maine, 10 - 10:30 baje wahan se wapis aya. Afsaro ko maine bulaya .. law & order ka jo bhi karna chahiye .. uski vyabastha ki. Jitna bhi police force tha woh kaam mein lagao .. yeh ghatna to HIndustan mein itni badi to kabhi hui nahi thi .. so ghatna badi bhayankar thi .. Accha doosra HIndustan mein pehle kya hota tha .. Aaj koi ghatna ghate .. to akhbaar mein doosre din aati hai. 

Do deen baad, teen deen baad logo ko pata lagta hai. 

Doosre din aati hai. Aur photo - wotoh aate aate to do deen, teen deen lag jate hain. In between Government machinery ko .. sara organize karna, force bhejna sab subidha ho jati hai. Aaj to ghatna hone ke teesri minute pe TV pe hota hai. TV ke speed aur police ke movement ke speed me to antar rahega.
Mujhe ek telephone pe Bardoa khabar deni hai to asani se de sakta hoon lekin Ahmedabad se Baroda police bhejni hai to ded ghanta lagna hi lagna hai To yeh pehli bar desh ko TV news ke speed 

.. se compete karna pada.

Usse compete karna pada. Yeh bahut bada kathin kaam hai.. kissi ke liye yeh kathin kaam hai. Doosra. Accha yeh hoga ki hum HIndustan ki dango ka saath uhm iski ..

Tulna kiya jaye.

Uss aste[?] mein tulna nahin .. ki koi danga hua to hamare yaha danga hua to kya hua. Yeh sab me main tark dene walon mein main nahin hoon. 84 mein hua issliye hamara bhi guna maaf. Yeh main allow nahin karta hoon. .. Yeh mere soch ki [...] Lekin, 84 ka dange mein kya hua, yeh kya hua. First 72 hour mein kya hua. Ek bhi tear gas shell nahin chuta hai. Ek bhi police ki goli nahin chali hai. Ek bhi laathi charge nahin hua hai. First 72 hours mein. Lathi charge ek jagah pe hua tha to kahan hua tha? Jahan Indira Gandhi ka deadbody rakha tha. Wahan jo bheed hui thi, us bheed ko control karne ke liye lathi charge hua. Yahan par, 27 tarikh ko .. advance mein kito ko arrest kiya? Curfew lagaya gaya. Kitni goliyan chali, kitne tear gas chale, kitne log goliyon mein mare gaye. Yeh Hindustan ka record hai. 

Lekin aapke bahut se log, aapne bhi afsar bhi, neta bhi uss wakth bhi aayi thi yeh batein, kuch media mein bhi aayi thi ki aapne yeh kaha ki abhi 48 ghante gussa nikalne do Hindu samaj ko. Yeh Haren Pandya ji ne bhi kaha tha yeh 

Yeh jinhone kaha hai iska supreme court pe bharosha karna padega ... kisi pe to bharosa karna padega?

Ji ji karna padega bilkul.

So supreme court ne commitee bithai usne sara yeh report nikala hai. Yeh report de diya hai. To mereh kehne ke wajah, it is better ki jinhone bhi investigation kiya uspe bharosa kiya jai. Aur pehli bar is desh me kissi dange ka investigation hua hai. Uspar bharosha karna chahiye. Aur sarkar ne jo action liya main aapko ek sheet doonga .. exactly kya kiya sarkar ne. Aapko facts and figures ke saath milega. Aur sarkar itna aaj ke yug mein itna vibrant media ho .. itne vibrant ..

Aapne police se kaha ki kissi bhi keemat se danga roko, at any cost?

Bilkul .. mere .. public hai, shoot at sight ke order ka press statement hai ussi deen .. mera TV interview dekh lijiye. Accha .. 84 mein tha 72 hour tak army nahin aayi thi. Mere yahan .. accha doosra yeh gadbad kya hoti hai media ki 28 ke baad sabko lagta 29 tarikh aati hai.  29 ke baad 30 aati hai.  30 ke baad 31 aati hai. Uska baad ek tarikh aati hai. Lekin yeh bhul jatein hain ki February mein 28 ke dossre din
pehli tarikh thi.

[Laughs]

To log kya .. 28 ko danga hua aur ek tarikh tak army nahin aayi. Arre bhai 28 ke doosre din .. [laughs] .. to yeh dhyan rakhiye. Gujarat ko gali dene se pehla dekhiyega ki 28 February kebad .. 


[ADDED TRANSCRIPT]

Q : Us Waqt Padha, Dekha Suna, ________ mein aaya tha,  ke Identify Karke Chhant Chhant Ke Jis Tarah Se Aag Lagai Gayi, Jis Tarah se attack kiya gaya, jaise koi preplan hota hai, jaise koi tayari hoti hain, jaise koi listein maujood hoti hain, Yeh Sab Kaisa hua ?

A : Yeh Sab Jhoot Hai. Fir Kaise Hua ka jawab hi nahi hota. Its impossible. Yeh sarasar jhoot hai. Is ke bajay us samay kuch storiyan jo chhapi hain, kitne musalmano ko bachaya gaya, kitne logon ko protect kiya gaya. Yeh bhi to karma hai. Warna jo varnan karta hai waise hua hota to kaun bachta bhai.? Kaun bachta ?

Q : Aapke minister baithe hue the control room mein. Who wahan kya kar rahe the ?
A : In saare savalon ke jawaab SIT ke paas hain. SIT ne jaanch ki hai

Q : Wo to hai. Main chahta hunk e jo Hindustan ka jo minorities hain, musalman khas karke who janana chahte hain ki galat kaise ………. shaq hai 


A : Yeh sara jhoot hai. Yeh sarasar jhoot Sarasar jhoot. Sarasar jhoot. Yeh Jhoot falaiya gaya. Ismein koi sachai nahi hai. Aur isliye Itni Badi Supreme Court …….. interrupts

Q : iska to record maujood hai k eke who maujood the control room mein
A : uska bhi SC ki team ne investigation kiya hai. Aur unhone kya paya uske intezaar kijiye. kya paya uske intezaar kijiye.. Mere kehne na kehna ka koi matlab nahi

Q. Aap .. jabhi dange ho rahe saher ka aapne round liya khud. Refugee camp mein gaye kabhi

Saare detl report usmein bhi avbl hai. Main sab jagah pe gaya. Sab ki chinta ki. Sab ki vyavastha ki. Itna hi nahi us samay aaye din GUJ HC mein PIL hoti thi. Saare judgement hai ki refugees ki best vyavastha govt ne ki. Ek bhram failaya jaata hai hamare desh mein ke GUJ mein relief camp sarkar ne nahi chalaya. Gujarat ki ek vishesta hai. Hamare paas samajik jivan bahut hi majboot hai Gujarat hai. Isliye sarkar ek yojana banati hai. Jab 50 logon ka camp hai to sarkar yeh degi. lekin saath mein sarkar unko management de deti hai. Bahut badhiya dhang se hai.

SS earthquake mein jaise hua tha

NM same pattern se. isliye uska sanchalan karne wale musalmaan honge. Us camp Chalane wale hindu hoge. Lekin uska sara karobar ka kharch sarkar uthati. Vyavastha who dekhte the. Yeh koi kehta ki sarkar ………

SS Iska koi record hai ki kitna anaj gaya, kitna paisa gaya in campon mein

Ha Ha sab record avbl hai. sab record avbl hai. Aur Hindustan mein ab tak ke communal violence mein utam se utam facility wala koi relief camp hai to who Guj wala hai. Itna hi nahi 10vi ki exam thi to un bacho ki siksha diksha ka pura prabandh sarkar ne kiya. Aur acchhe dhang se bachhe pass hokar bhi nikle. Yeh bhi PIL hua tha. PIL mein hum jite hain. Lekin jo acchi aur sachi baatein hai who bahar na lana ek media ne theka liya hua hai

SS Us waqt Atalji PM the. Unhone aapse kya kaha hai
Vdo avbl hai


SS kuch alag se bhi kaha hoga. Sab kuch VDO pe to nahi kaha hoga unhone
NM yeh jhoot chalaya jata hai – rajdharma wala kaha. Usi vdo mein aage hai – mujhe
malum hai modi rajdharmnibhate hain – yeh delete kar diya jaata hai – uski cd avbl hai –
uska hi dusra continuation mein sentence hai

SS ab kafi samay ho gaya 20 saal ho gaye is baat ko (some1 prompts 10 saal) 10 saal ho
gaye is baat ko. Us waqt kya kaha atalji – kya kar rahe ho, kya karna chahiye, kya ho
sakta hai
NM aisa hai hum sab achha karne ke liye sab mil jul ke koshish karte hai. Sab log karte
hai

SS yeh baat kahi jati hai – dange hue – 84 ke dange hue – rajiv longval samjauta bhi hua
– Punjab ka – Punjab ke masle ko hal bhi kiya – RG ne bhi maafi mangi SG bhi ne maafi
mangi – jo Con ke leader usmein paaye gaye HKL Bhagat, Tytler unko rniti se bahar kiya
gaya jabki saabit nahi hua tha unpe kuch – aapne aajtak na regret ki na kabhi maafi mangi
jabki, Head of state ke hasiyat se aap ko us pe maafi mangni chahiye thi – jo bhi hua tha

NM pehli baat pehli baat – us samay main jo kya bayan diye the usko 1 baar dekh lena
chahiye . Is saari ghatnayen pe modi ka drushtikon kya ha. Modi kya sochta hai. Us
samay heat of time jo bola gaya hai usko to sachai hoti hai. Aaj to ab 10 saal ho gaye
to arram se baithke ac room mein baatein hoti hain. Woh sentences mein aapko dunga
datewise hai. Aap us samay ke media ko nikalkar dekh lijiyega. Us aap ko andaz aayega
ki hum kya sochte hain, humnein kaha hai (instructs some1 : woh baad mein de dena).
Ek mear intrvw hua tha 2005-06 – sidhi baat mein intrvw hua tha – aur shayad prabhu
chawla ne. Usene mujhe sawaal pucha – maafi kyun nahi maange? Maine unse kaha
bhi mujhe maaf kyun karna chahiye…. Agar 1 sarkar ne yeh sab karvaya hai to usko to
chaurahe par faansi pe latkana chahiye aur aisi faansi deni chahiye ke taaki bhavishya
mein 100 saal tak koi shashak is prakar ka paap na kar sake. Usko maaf karma hi nahi
chahiye. Aur jo yeh maaf karne ki vakalat karte hain who gunah ko badhava de rahe
hai. Agar Narendra Modi ne gunah kiya hai, dur dur tak kiya hai, to Modi ko faansi pe
latka do – yeh meri maang hai samnese. Lekin imandari se koshish karne ke baad bhi aur
lakhon logon ki zindagi bachane ke baad bhi rajnitik karno se koi log gaali galoch karte
hi rahte hai, to unke liye mere paas koi jawab nahi hai


SS Lekin Jo hua uske le aapke man koi dukh hai, jo ho galat hua, nahi rok paaye, 1000 se
upar log mare
NM Usko Liye Uske liye Rok Paya Hun. Main yeh manane ko tayar nahi hun ke nahin
rok paya. Yeh ghatna ko samajna padega

SS samaj to rahe hain 10 baras se

NM main batata hun us samay main kya kaha who aapko main deta hun uska upyog
kijiye. Sab kuch avbl hai. Uska upyog nahi hua hai

SS main akhbaar ke editor hun. Mere akhbaar mein koi correspondent bhejta hai khabar.
Galat khabar chhapti hai to correspondent nahi main kshama mangta hun, editor kshma
mangta hai ki galat khabar chhap gayi. Agar mukadama chalta hai to mere pe chalta hai,
us pe bhi chalta hai correspondent pe bhi
NM isliye main kehta hai us samay jo kuch bhi aaj aap chah rahe hain avbl hai. Main yeh
keh raha hai. Aaj kahunga aisa nahi hai. Us pal bhi kaha hai

SS us waqt bhi aapne regret kiya hai ? kshma maangi hai ?
NM main aapka pura sheet de raha hun. Aap le jaiye na. pura usme date wise sheet de
raha hun. aur yeh tay kijiye itna saara karne ke baad bhi modi ko _________ matlab
humnein modi se anyay kiya kiya hai.yeh bhi likhna niche. Yeh bhi likhiye aapko
datewise milega. Who sheet mein bhi modi kya sochta tha aur kya kehta tha. To khud
aapko lagega ki bhai humnein is aadmi se 10 saal tak ghor anyay kiya hai. To maafi to us
MODI ki maangni chahiye ki jispe bina karan itna jurmana kar diya

SS lekin yeh aarop lagta hai ke dange hue chaliye us waqt heat of moment tha jo hona
tha hua lekin uske baad bhi jo insaaf milna chahiye tha who aapka administration dene
to tayar nahi hua jab tak SC ne SIT nahi banaya aur dabav nahi SC ka bana varna sabko
bari kar diya gaya tha jyadatar cases mein sabkuch band karke mamle ko khatam kar diya
NM aap jhoot ke shikar hue hain

SS sare desh shikar hai puri duniya shikar hain kya karein ?
NM yeh ek vested interest group hai. Uske shikar hai. Aap jis SIT ki baat kar rahe hain
who sirf 8/9 case ko dekhti hain – only 8 or 9 – aapki jaankari ke liye – yahanto hazaron
fir hue hain, hazaron log arrest hue hain – aur aaj tak Hindustan mein 84 ke dango mein
ek aadmi ko ek case mein saza nahi hui hai – mere yahan 50 se adhik case ke judgement
aa chuke hai – saza ho chuki hai – jin 2 case ki aap charcha karte hain – aap ke jaankari
ke liye – aapke vachko ko kaam aayega – 1) best bakery case 2) bilkis bano case – best
bakery ka case bahar leke gaye uska kya hua – jaanch kisne ki – Gujarat Police Ne –
chargesheet kisne banayi - Gujarat Police Ne, fir kisne ki - Gujarat Police Ne, witness
kaun laya - Gujarat Police. Sab Kuch Gujarat Police – Ek judge ne nirdosh chhod diya
– HC ne nirdosh chhod diya – fir us case ko maharashtra le gaye – wohi kagaz, wohi
witness, wohi prakriya, wohi GUJ Police ka record – Mah mein unko sajayi hui –
mujhe yeh bataye GUJ Police doshit kahan – koi naya investigation nahi hai, koi nahi
chargesheet nahi hai – naye witness nahin laye – GUJ Police ko dosh kaaise diya – aapne
judiciary pe avishwas kiya – guj ki judiciary ke bajay aap mah ki judiciary ke paas le
gaye bilkis bano ka case  - Gujarat police ne investigation kiya Gujarat police ne logoko 
arrest kiya Gujarat police ne chargesheet di Fir ki baad mein mamla CBI ko de diya . 
CBI ne dubara jaanch ki CBI ne kuch 8-9 logo ko arrest kiya case chala . Maharashtra 
mein chala aur aapko jaanke hairaani hogi Gujarat police ne jinko arrest kiya unko sazaa 
hui aur CBI ne jinko arrest kiya tha who nirdosh chut gaye , ek aadmi ko sazaa hui to 
teesta setalvad tv debates mein aake bolti hai , nahi aisa nahi sab jhoot hai, ek koi hui hai, 
aur who kaun hai aur kya sazaa hui hai ek policewale ne jo kagaz CBI ko dene the , 
jo bhi use translation karwana tha , translation mein delay hua toh delay kiya uski sazaa 
hui koi ghatna ki sazaa nahi hui . Kagaza CBI ko dene mein delay hua, isliye CBI ne 
uspar case kiya uski sazaa hui aur who bhi 2- 3 mahino ki , ab mujhe bataye Gujarat 
police kaha doshi hai teesri baat yeh cases abhi bhi chal rahe hai, uska karan kya hai, 
23 baar stay liya gaya hai aur stay liya hai is soc called secular logo ne  


SS – Lekin Gujarat mein dango ke baadse encounter hote rahe, aur us encounter ki vajah se
aapke bahut se police officer bhi jail mein hai , who encounter ki jaisa samne aa raha hai ,
primafacie aa raha hai ki farzi encounter hai , aisa aapke yaha kyu itna jyada ho raha hai,
kya yeh ek approach thi administration ki

NM – Sun lijiye Sun lijiye, Abhi mein Uttar Pradesh ki jaha ke aap neta ho, jis party se
aap nelong karte ho , unka advt mein aapko batata hu, mayawati ji ka .. maywati ji ke
advertisement mein likha hai ki humne 396 encounter karke kanoon vyavastha ko kayaam
kiya . unhone khudne likha hai khudne gaurav se kaha hai humare raj mein 396 encounter
hue. Mere rajya mein toh sirf 12 encounter hue hai. Abhi take k bhi encounter mein sazaa
nahi hui . mamla court mein hai. Hindustan ke National human right commission , jispe
aapko bharosa karna chahiye, usne kaha hai, peechle dus saal mein jitney encounter
hai, usme se 400 farzi paye gaye hai. Supremecourt mein ek arzi padi hui ke in sab ka
reinvestigation hona chahiye, toh sirf Gujarat ka kyu ho raha hai , sare desh ka kyo nahi ho
raha . Chinta ka Vishay ye hai, kyo Gujarat ko target kiya jaa raha hai

SS – yeh kyu ho raha hai

NM – mein yahi sawaal aapse pooch raha hu, aisa kyu ho raha hai. Uttar Pradesh mein
encounter ho rahe, poore desh mein ho rahae hai, Mumbai mein ho rahe hai . sirf Gujarat ko
target kyo kiya jaa raha hai, kya yeh justice hai kya

SS – Kon kar raha haim pseudo secularist kar rahe hai

NM – Jo bhi Gujarat ke peeche lagi hai, who jammat kar rahi hai. Jo log Gujarat ko badnaam
karne mein lage hai, who log kar rahe hai

SS – Yane Congress

NM – mein kisi rajneetik dal pe aarop nahi laga raha. Mein yeh keh raha hu, Gujarat ko
tabaah karnewali jo toli hai, usi ke karname hai. Justice sabko milna chahiye

SS – Aap ki apni party ke log , kuch hindu parishad ke log RSS aur BJP ke log who aap
pe aarop lagate hai dictator hone ka. Aur logo ko bolne na dene ka. Jaise bhey ka mahool
banana ka. Kyu aisa hai . virodhi nahi, aapki party ke log aarop laga rahee hai

NM – Dekhiye aisa hai ki, mere paas aise koi jankari nahi hai, number 1, number 2, fir bhi
agar kisi ne kahi kuch kaha ho , toh loktantra hai , unko apni baat kehne ka adhikar hai .
teesri baat agar koi mujhe gale de hi raha hai toh , mujhpe aarop laga hi raha hai toh ..
lagata raha hai, who apne aap mein ek bahut badi baat hai

SS – iska matlab hai ki dictatorship nahi hai

NM – wahi toh badi baat hai

SS – lekin kyu aisa ho raha hai, kyu bheybhit hai aapke badhne se, aapki popularity se , kya
aapko lagta hai

NM – Dekhiye, mein nahi manta hu aisi koi baat hai . aur jab koi baat mujhe lagti nahi hai ,
toh mujhe usme karan kaha se nazar aayega

SS – Ache mujhe yeh bataiye , yeh aam charcha hai poore desh mein ki aap aane wale
samay mein Gujarat se nikalke ke rashtra ke rajneeti ke bhaar ko sambhalna aapke kandho
pe aane wala hai aur aapko ek bhavi pradhan mantra ke roop mein bhi dekha jata hai . Toh
manlo aapka Hindustan ke pradhan mantra bante hai , toh aapki kya 5 priorities kya hogi

NM – pehli baat , mein multaha (primarily) sangathan ka aadmi raha hu , ek dedicated, aur
mein organization ka kaam dekhta raha hu . ek vishisth paristhiti mein, mein mukhya mantra
ban gaya aur na zindagi mein kabhi koi school ke monitor ka chunav nahi lada, na mein
kabhi panchayat mein chuna gaya tha, nahi mein kisi ke chunav ka agent bana hu , nahi
mein kabhi booth ka representative bana hu , mein is duniya ka insaan hi nahi tha , toh mera
is duniya se koi lena dena nahi raha . ek vishisth paristhiti mein party ne mujhe kaam diya ,
aur mera poora focus administration pe hai aur usme mein laga hua hu, aur mera saaf hai 6
crore gujarati , yeh mera jo kuch bhi hai who hai unka such unki bhalai

SS – toh 100 crore hindustaniyo ki bhalai?

NM – mein batata hu, agar mein Gujarat ka vikas karta hu aur UP ke paanch bacho ko yaha
rozgar milta hai, toh mein desh ki seva kar raha hu agar mein Gujarat mein acha kaam karta
hu aur Orissa se log mere rajya mein aake kamai karte hai aur money order apne ghar
bhejte hai, mein desh ka kaam karta hu

SS – maan lijiye aap pradhan mantra ban gaye toh aapki kya priorities hogi

NM – pehli baat, mere deemag mein Gujarat ke sivah kuch hota nahi hai . mein Gujarat ke
siva kuch sochta nahi huaur Gujarat ke liye mere bahit sapne hai mein is desh ki jitni seva,
Gujarat ke madhyam se karunga . mera mantra aisa hai bharat ke vikas ke liye , Gujarat
ka vikas, aur mera aisa manna hai, suba acha kaam karega, toh desk ke hi kaam mein
aane wala hai . yaha achi kheti hogi toh desh ke logo ka pet bharega yaha namak acha
paida hoga , oh desh ke logo ko acha namak milega . toh yeh kaam karta hu. Aur mein naa
iske aage kuch sochta hu naa samay lagata hue k hi kaam mein laga hu aur usi mein laga
rahunga

SS – Lekin jaise BJP mein ek khema hai, jo aapko bhavi pradhan mantra ke roop mein
presh karna chahte hai, aur maan lijiye aap kal pradhan mantra ban jate hai , toh kon se aise
paanch kaam karna chahenge

NM – dekhiye mein aise loaded sawalo ka jawab naa kabhi sochta hu aur naa kabhi deta hu
aur zaroorat bhi nahi hai mein sirf Gujarat, Gujarat Gujarat aur mere 6 crore gujarati unka
bhavishya bhagya aur usike liye bhagwan ne mujhe jo avsar diya hai aur janta janardan
mera parmatma hai who jo kehti hai mein kata hu


Comments:
We have launched a petition to request President Obama to reconsider US Administration’s stand on Mr. Narendra Modi, the Chief Minister of the State of Gujarat, India. Please visit MODI360.COM to review and sign this petition.
 
Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]





<< Home

This page is powered by Blogger. Isn't yours?

Subscribe to Posts [Atom]